Online Profile
Sayeri
Home | About Me | Family Photo | Friend's Photo | Poem | Jokes | Comments | Ol Chiki

Some Selected Urdu Couplet  

Har ek baat pe kehte hain ke too kya hai.
aap hi kahen ye andaaze guftgu kya hai.
ragon main daudte rehne ke hum nahin qayal.
jo aankh hi se na tapka woh lahoo kya hai.
 
Hame bhi shauk hai ji bhar ke tumhe dekhe ge
Tumhe ho sharm to ankho pa hath rakh lena.
 
ye badalo itana na barso
ki woh aa na sake
unke ane ke baad itana barso
 ki woh jaa na sake
 
Dil ke samandar mein
yaado ke lehare hai
tanhaiyoon ke zakhm
aaj bhi gehare hai.

Dil ki baat hum aapni,
unse na kabhi bayaan kar sake.
Nazar se nazar milti rahi par,
labz na kabhi hoton pe aa sake.
 
uun galioon se guzarte hua.
tumhe aaj bhi yaad kar lete hai.
dil se nikle dua har dum.
ke ab roola deeta hai ooron ka bhi ghum.

Itne bhi taarif na karo,
ke hum sambhale na samble.
abhi abhi to tanhaiyon ke,
aalam se hum hai ubhare.
 
Rah jati hai koi baat
adhuri har baar....
Sayad isi ko kahte hain
pyar...'pehla pyar'
 
Dil aik phool na thaa,
kanch ka tukra hota
todnay walay ko
ik zakhm to ayaa hota.....
 

Soia huia thay roke ye ashak apne
jage to paya sab tut chuke
thay sapne apne
auro ki mohabbat ka mazak
banaya karte the
zab tuta dil mera to wo
log bhi lage hasne.
hum to chahte the haste
hasate rahe ab kase
hase ies mahol mai zab
yadein lage dasne.
 
 
 iskaa sapnaa aankh mein hardam samaya sa lage
ek pal apnaa dooje pal
parayaa sa lage..
har ghadi mehsoos kartaa huun
use yuun aas pass
ghar se baar reh ke bhi vo
ghar mein aayaa sa lage
vo the mere hamsafar jab
yaad aa jaye kabhi..
dhuup mein tab sar pe apne
mujhko saayaa saa lage
 tumne jis andaaz main gaayaa
ise achha to hai
ik puraani dhun main bhi ye
geet gaaya saa lage
 

dil ko intezaar ki aadat se ho gai.
phir bhi unhe bahano se fursat nahi mili.
jab khabar mili unhe apne mizacch ki.
chal diye woh nayi raah par,ek nayi talash ki.
 

zindagi ne har pal rusva kiya.
mile zakhmo ko dugna kiya.
phir bhi souchte rahe kush naseeb hai hum
ke ab to maut ke kareeb hai hum.
 
 
aj tu mere saath nahin
ye kuch pal ki judaai hai
meri jaan tu le gayee hai
zinda hai jo woh shaks
bas tujhpe martaa hai
kisi aur sheh ki kya
ab tamanna ye dil bus
tujhse pyaar kartaa hai.
 
 
Mandir Mera Banaya,
   Murti Kisi Aur Ki Daal Di.
Pujaari Mujhe Banaya,
   Dakshina Kisi Aur Ko De Di.
 Aaj Me Ye Kya Sun Raha Hoon,
      Kabar Kisi Aur Ki Banayi,
 Laash Meri Daal Di.
 

 Aaj tu mere saath nahin
 ye kuch pal ki judaai hai
 meri jaan tu le gayee hai
 zinda hai jo woh shaks
 bas tujhpe martaa hai
  kisi aur sheh ki kya
 ab tamanna ye dil bus
  tujhse pyaar kartaa hai.
 

 Gam ke andheron ne jab gheraa mujhko
 teri yaadoon ke chiragon ko jalaya meine
 jab bhi tere khat ko pada
  is dil ko zorose dhadakta paya meine.
 Ab to ghabra kar kehten hain
  ki mar jayenge lekin
 mar ke bhi chaen na mila
  to kahain jayenge.
 

 Zindagi tughe dekhte dekhte guzar jaye to accaha hai
    kash yeh waqt isi waqt teher jaye to accaha hai
 kya rakha dunya main tere deadh se badh kar
  har waqt tere tasveer nazar aaye to accaha.
 

 Ankhein kholu to chehra tumhara ho
  ankhein modu to sapna tumhara ho
 agar mar bhi gaya to gam nahi
 kafan ke liye aanchal tumhara ho.
 

 Pyaar karta hun mei tujko dillo jaan se...
 Chaata hun mei tujko ziada apne imaan se...
 Herat hein hame ek baat pe,
 ke jab aarahi hongi teri doli chaand aur sitaro se..
 nikhal raha hoga mera janaza sholay aur shabnam se.
 

   Agar main chahun too abhie meel sakun uuse,
   ye baat aur hai ki hamain intazaar hai.
 
 Subha hoti hai,shaam hoti hai,
  zindagi uhi tamam hoti hai.....
 bandagi me bhi sanam dekhte hai..
  ibadat meri haram hoti hai........
 

Teri ankhon mein hamne kya dekha,
kabhi katil dekha,kabhi khudha dekha !!
 
 
 
IS DIL KO KARAAR MIL JAAYE AISAA KUCH KAROO,
NINDOO MAIN KARAAR MIL JAAYE AISAA KUCH KAROO,
KI IN TANHAIYOO NE BIKHAAR DIYAA HAIN MUJHE,
IN TANHAIYOO SE NIJAAT MIL JAAYE AISAA KUCH KAROO,
GAR JO HAKIKAT MAIN NA MIL SAKE HUM,
IS DIL KO KUCH TO RAAH MIL JAAYE AISAA KUCH KAROO,
KI TANHAIYOO NE BIKHAAR DIYA HAIN MUJHE,
ABB IN TANHAIYOO SE NIJAAT MIL JAYE AISAA KUCH KAROO....
 
 
SAATH CHAL RAHEIN HAIN PAAS AA SAKTE NAHIN
EK NADI KE DO KINARON KO MILA SAKTE NAHIN
RAAZ JAB DIL SE BAHAR HUWA APNA TU
RAET PE GHIRE AANSOO UTHA SAKTE NAHIN
 
 Yaad aapki bhulaun kaise?
  Tasveer dil se mitaun kaise?
 Bekarar hoon is qadar
  Zindagi tum bin bitaun kaise?
Gujarte nahin bina aapke din raat
  Haal-e-dil sabko sunaun kaise
Ajeeb si kashish hai yaadon mein aksar
Tadap dil ki bataun  kaise?

 
 
 
 
kissi pagal kavi ki kalpana ho tum,
kudh ko bhool jaun wo nasha ho tum,
ab hosh mein na aaye to behtar hoga,
sapna hi sahi mera apna hoga!
 
kaise batau hameri nazome kya hai app,
darte hai khuda se varna khadate khuda hai app.
 
Dil ka rashta be ajeeb hota hein,
Dor raha ka be kareeb hota hein,
Na kar mere barbate ka ghum,
Ka appne appne naaseb hota hein.

Jis raah main chala, woh raah mujh se tharrane lagi....
Ek mili phool si woh bhi ab sharmane lagi....

na fuloon ki tamanna hai,
na chahat hai sitaron ki,
 tumhare pyaar ke aage,
kya zaroot hai baharoon ki.
 
 
deewano ki mehfil main gulshaney nilam hoga
na jaane wo din kab aayega jab ye banda tere khatir badnam hoga
Zindagi ek phool hai,
 aur mohabbat us ka shehed
 Pyar Ek Dariya Hai,
Aur Mehmoob uski sarhad

Duniya Pyar Karti, Bade joro ke saath,
Hum ne bhi kabhi kiya tha bade soro ke saath,
abb na kare ge bade gaour ke saath,
kioke hum ne usee dekha tha kal kisi aor ke saath.

TERI TASWEER ME WOH BAAT NAHI,
WOH ADA NAHI JO TUJHME HAI!!!
WOH TO SIRF EK JAAM HAI,
WOH NASHA NAHI JO TUJHME HAI!!!

 

" Mere  Jine  Ke Liye Tera
Arman Hi Kafi Hai
Dil Ke Kalam Se Likhi Yeh
Dastan Hi Kafi Yeh
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya
Zaroorat E Nazneen
Qatil Karne Ke Liya Teri
Muskan Hi Kafi Hai "